haya se sar jhuka lena ada se muskura dena
hasinon ko bhi kitna sahl hai bijli gira dena
ye tarz ehsan karne ka tumhin ko zeb deta hai
maraz men mubtala kar ke marizon ko dava dena
balaen lete hain un ki ham un par jaan dete hain
ye sauda diid ke qabil hai kya lena hai kya dena
khuda ki yaad men mahviyat-e-dil badshahi hai
magar asan nahin hai saari duniya ko bhula dena
Leave a Reply