lutf baḌhtā hai safar kā dost kam raftār se
maiñ bhī ḳhush hotā huuñ tere aarzī inkār se
aañkh lagne kī zarā sī der thī bas aur phir
kaT gayā dariyā-e-shab bhī ḳhvāb ke patvār se
merī qurbat meñ mirā ghar bhī fasurda ho gayā
ashk girne lag ga.e haiñ dīda-e-dīvār se
ek massage nafratoñ par baar guzrā hai mirī
phuul bhejā hai kisī laḌkī ne sarhad paar se
us kī āñkheñ aap kī āñkhoñ se achchhī thiiñ zarā
baaqī saare aap behtar ho purāne yaar se