Is Nae Ghar Mein Bhi Har Chiz Purani Kyon Hai

is na.e ghar meñ bhī har chiiz purānī kyoñ hai

gar ye sūrat hai to phir naql-e-makānī kyoñ hai

koī ḳhūbī bhī nahīñ naqs bhī lākhoñ mujh meñ

tū mire ishq meñ is darja divānī kyoñ hai

hijr kī baat karo mujh se kabhī ḳhalvat meñ

phir ye socho ki mirī aañkh meñ paanī kyoñ hai

lucknow shahr mirā shahd sā lahja samjhūñ

aap ke shahr meñ ye talḳh-zabānī kyoñ hai

jañg hai jahl se ‘afrañg’ qalam hī kaafī

kyā zarūrat hai ki shamshīr uThānī kyoñ hai

Leave a Comment