har dua hogi be-asar na samajh
aaj nahaq hai aankh tar na samajh
ziist mushkil sahi magar ai dost
maut asan rahguzar na samajh
hausla rakh tu rahrav-e-manzil
thak ke raste ko apna ghar na samajh
pujta huun main pattharon ke sanam
mere dil men hai koi dar na samajh
ja-ba-ja sun tu meri sargoshi
main faza men huun muntashir na samajh
jin charaghon ki lau bahut kam hai
un charaghon ko mo’atabar na samajh
main tahi-dast muflis-o-nadar
tu mujhe dast-e-be-hunar na samajh
main huun qaail tiri parastish ka
tujh se mangunga main guhar na samajh
teri dastak ka muntazir ‘anjum’
shahr men hoga koi dar na samajh
Leave a Reply