• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Pichha Hi Nahin chhoDti Ghar Bar Ki KHushbu

Pichha Hi Nahin chhoDti Ghar Bar Ki KHushbu

pichha hi nahin chhoḌti ghar baar ki ḳhushbu

raste se ayaan hai dar-o-divar ki ḳhushbu

kab kaise kahan se bani pur-pech gali men

bechain kiye rahti hai asrar ki ḳhushbu

main apne tasavvur men huun ḳhush-hal baradar

qadmon men paḌi hai mire darbar ki ḳhushbu

tum ajnabi qadmon se nikal jaao musafir

paana hai kisi aur ko gulzar ki ḳhushbu

ashkon ke jharoke men bhi dar aa.i hai aksar

hairan tabassum men basi yaar ki ḳhushbu

ik gul pe qana.at hai kahan bahti hava ko

har-vaqt liye phirti hai do-char ki ḳhushbu

barson jo rahi dafn kisi zaḳhm-e-jigar men

paa.el se ugi aaj vo jhankar ki ḳhushbu

avaz pe takiya na lagana kabhi ‘ja.afar’

ḳhamosh sada deti hai us paar ki ḳhushbu

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Phir Use KHwab Mein Dekha Hai KHuda KHair Kare

Ye Soch Ke Rakh Ho Gaya Hun

akhtar-hoshiyarpuri

Gae Zamane Ki Surat Badan Churae Wo

poet

Na Garmi Rakhe Koi Us Se KHudaya

Ada Pariyon Ki Surat Hur Ki Aankhen Ghazalon Ki

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet