chand sa chehra nuur ki chitvan masha-allah masha-allah
turfa nikala aap ne joban masha-allah masha-allah
gul rukh-e-nazuk zulf hai sumbul aankh hai nargis seb-e-zanakhdan
husn se tum ho ghairat-e-gulshan masha-allah masha-allah
saqi-e-bazm-e-roz-e-azal ne bada-e-husn bhara hai is men
ankhen hain saghar shisha hai gardan masha-allah masha-allah
qahr ghazab zahir ki rukavat afat-e-jan dar-parda lagavat
chaah ki tevar pyaar ki chitvan masha-allah masha-allah
ghamza uchakka ishva hai daaku qahr adaen sehr hain baten
chor nigahen naaz hai rahzan masha-allah masha-allah
nuur ka tan hai nuur ke kapde us par kya zevar ki chamak hai
chhalle kangan ikke joshan masha-allah masha-allah
jama kiya ziddain ko tum ne sakhti aisi narmi aisi
mom badan hai dil hai aahan masha-allah masha-allah
vaah ‘amir’ aisa ho kahna sher hain ya maashuq ka gahna
saaf hai bandish mazmun raushan masha-allah masha-allah
Leave a Reply