shahr-e-tārīk ke jalte hue manzar dekho
qahqahe maar ke hañstā hai sitamgar dekho
sūkhe pattoñ ko zarā aag dikhā do baḌh kar
aur phir aag ko ummīd se baḌh kar dekho
pahle dekho ki ye shīshe kā nagar bach jaa.e
vaqt mil jaa.e to pheñke ga.e patthar dekho
haq kī bāteñ mire hākim ko burī lagtī haiñ
phir bhī kahtā huuñ ki āvāz uThā kar dekho
chashm-e-namnāk mirī ḳhushk huā chāhtī haiñ
ma.azarat dost koī aur samundar dekho