• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Magar Ye Zakhm Ye Marham

Magar Ye Zakhm Ye Marham

jaun-eliya

tumhare naam tumhare nishan se be-sarokar

tumhari yaad ke mausam guzarte jaate hain

bas ek manzar-e-be-hijr-o-visal hai jis men

ham apne aap hi kuchh rang bharte jaate hain

na vo nashat-e-tasavvur ki lo tum aa hi gae

na zakhm-e-dil ki hai sozish koi jo sahni ho

na koi vaada-o-paiman ki shaam hai na sahar

na shauq ki hai koi dastan jo kahni ho

nahin jo mahmil-e-laila-e-arzu sar-e-rah

to ab faza men faza ke siva kuchh aur nahin

nahin jo mauj-e-saba men koi shamim-e-payam

to ab saba men saba ke siva kuchh aur nahin

utaar de jo kinare pe ham ko kashti-e-vahm

to gird-o-pesh ko girdab hi samajhte hain

tumhare rang mahakte hain khvab men jab bhi

to khvab men bhi unhen khvab hi samajhte hain

na koi zakhm na marham ki zindagi apni

guzar rahi hai har ehsas ko ganvane men

magar ye zakhm ye marham bhi kam nahin shayad

ki ham hain ek zamin par aur ik zamane men

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dil-E-Ashufta Pe Ilzam Kai Yaad Aae

sajida-zaidi

Tarjumani-E-Gham-E-Zist Ka Mausam Bhi Nahin

akhtar-bastavi

Chaho To Mera dukh Mera Aazar Na Samjho

sarwat-zehra

Internet-Asthan Ki Malika

akhtar-ansari

Saf Zahir Hai Nigahon Se Ki Hum Marte Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet