ishq ā.īna-e-hairat ke sivā kuchh bhī nahīñ
merī sūrat tirī sūrat ke sivā kuchh bhī nahīñ
husn kahte haiñ jise ishq-o-mohabbat vaale
jauhar-e-chashm-e-basīrat ke sivā kuchh bhī nahīñ
daulat-e-qurb ho yā ne.amat-e-irfān-e-jamāl
sirf ik ashk nadāmat ke sivā kuchh bhī nahīñ
hijr ho vasl ho ai dost adam ho ki vajūd
ik tirī chashm-e-ināyat ke sivā kuchh bhī nahīñ
terī hastī ki nadāmat ke sivā sab kuchh hai
merī fitrat ki nadāmat ke sivā kuchh bhī nahīñ
husn-e-zāhir ho ki ai aarzū husn-e-bātin
zulf-e-idrāk kī nik.hat ke sivā kuchh bhī nahīñ