ishq ki jo lagan nahin dekha
vo birah ki agan nahin dekha
qadr muj ashk ki vo kya jaane
jis ne durr-e-adan nahin dekha
tuj gali men jo kui kiya maskan
phir kar us ne vatan nahin dekha
aarzu hai ki zulf kuun khole
main ne kaali rayan nahin dekha
lab-e-rangin dikha ai maadan-e-husn
main aqiq-e-yaman nahin dekha
tuk zamin par qadam rakho sajan
aaj naqsh-e-charan nahin dekha
dil abas tishna-lab hai kausar ka
piv ka chah-e-zaqan nahin dekha
ghuncha-e-gul kuun dekh gulshan men
gar tuun piv ka dahan nahin dekha
tujh masal ai ‘siraj’ bad-e-‘vali’
koi sahab-sukhan nahin dekha
Leave a Reply