• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ishq Ki Chausar Kis Ne Kheli Ye To Khel Hamare Hain

Ishq Ki Chausar Kis Ne Kheli Ye To Khel Hamare Hain

mubarak-azimabadi

ishq ki chausar kis ne kheli ye to khel hamare hain

dil ki baazi maat hui to jaan ki baazi haare hain

kaise kaise lakht-e-jigar hain kya kya dil ke paare hain

aise laal kahan duniya men jaise laal hamare hain

is ko maara us ko maara ye bismil vo tuut gaya

nok palak valon se dariye qatil un ke ishare hain

chhalni chhalni dil bhi jigar bhi rauzan rauzan siina bhi

ek nigah-e-naz ne teri tiir hazaron maare hain

phunk raha hai soz-e-nihani kaun is aag pe daale paani

dil ki lagi ne aag laga di daagh nahin angare hain

lala-rukhon men umr gizari dekhi un ki fasl-e-bahar

aaj bhi gul se galon vaale mujh ko ‘mubarak’ pyare hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hui Ya Mujhse Nafrat Ya Kuchh isMein Kibr-O-Naz Aaya

ghaTa Sawan Ki umDi Aa Rahi Hai

Apni Kitab-E-Umr Ka Anjam Likh Diya

poet

dar Tak Ab Chhod diya Ghar Se Nikal Kar Aana

Zulmaten chhaTne Ko Aaghaz-E-Sahar Kafi Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet