• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Barha Yurish-E-Afkar Ne Sone Na Diya

Barha Yurish-E-Afkar Ne Sone Na Diya

poet

barha yurish-e-afkar ne sone na diya

fikr azad hai azar ne sone na diya

band thiin da.era-e-ḳhvab men ankhen apni

fikr ki gardish-e-parkar ne sone na diya

thi tasavvur men nihan-ḳhana-e-dil ki tasvir

rat-bhar dida-e-bedar ne sone na diya

mujh se the bar-sar-e-paikar mire zehn-o-zamir

mujh ko bedari-e-kirdar ne sone na diya

koi manzar tha ki tha manzar-e-rangin ka fareb

kya kahin ḳhvab-e-pur-asrar ne sone na diya

mujh pe is tarah se raushan thi haqiqat apni

umr-bhar chashm-e-ḳhabar-dar ne sone na diya

main ne kuchh dhuup men jalte hue chehre dekhe

phir mujhe saya-e-divar ne sone na diya

rat-bhar barish-e-ilham rahi hai dil par

sub.h tak abr-guhar-bar ne sone na diya

‘lais’ mauzu-e-suḳhan fikr-e-bashar thi ham the

aur phir garmi-e-guftar ne sone na diya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Sach to Ye Hai Be-Jagah Rabt in Dinon Paida Kiya

Kya Dastan Thi Pahle Bayan Hi Nahin Hui

akbar-hyderabadi

dasht-e-Adam Ka Sannata

Zara Maza Nahin Aaya Kalam Kar Ke Mujhe

Kahin Dua to Kahin Harf-E-Iltija Thahri

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet