• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jab munDeron Pe Parindon Ki Kumak Jari Thi

Jab munDeron Pe Parindon Ki Kumak Jari Thi

jab munDeron pe parindon ki kumak jaari thi

lafz the lafzon men ehsas ki sardari thi

ab jo lauTa huun to pahchan nahin hoti hai

kahan divar thi divar men almari thi

vo haveli bhi saheli thi paheli jaisi

jis ki inTon men mire ḳhvab the ḳhuddari thi

aḳhiri baar main kab us se mila yaad nahin

bas yahi yaad hai ik shaam bahut bhari thi

puchhta phirta huun galiyon men koi hai koi hai

ye vo galiyan hain jahan log the sarshari thi

peḌ the chand makanon men zamanon jaise

jin ki chhanv men miri ruuh ki lu jaari thi

kya bhale din the hamen khel tha hansna rona

saans lena bhi hamen jaise adakari thi

bas koi ḳhvab tha aur ḳhvab ke pas-manzar men

baagh tha phuul the ḳhushbu ki numudari thi

ham ne dekha tha use ujle dinon men ‘hammad’

jin dinon niind thi aur niind men bedari thi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Zad-E-Rah Bhi Nahin Be-raKHt-E-Safar Jate Hain

Kahan Le Aae Mujhko Main Kahan Tha

Hazaron Sal Chalne Ki Saza Hai

poet

Gham Mein Ahd-E-Shabab Jata Hai

poet

Uf Meri Zindagi Ki Raat Uf Meri Zindagi Ke Din

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet