mujh ko ye vaqt vaqt ko main kho ke ḳhush hua
kaaTi nahin vo fasl jise bo ke ḳhush hua
vo ranj tha ki ranj na karna muhal tha
aḳhir men ek shaam bahut ro ke ḳhush hua
sahab vo bu ga.i na vo nashsha hava hua
apne ta.iin main jam-o-subu dho ke ḳhush hua
aisi ḳhushi ke ḳhvab se jaaga ki aaj tak
ḳhush ho ke so saka na kabhi so ke ḳhush hua
chhani ik umr ḳhaak ḳhushi ki talash men
hona tha rizq-e-ḳhak mujhe ho ke ḳhush hua
‘adil’ mira libas hi ham-rang-e-dagh tha
kar-e-rafu kiya na kabhi dho ke ḳhush hua
Leave a Reply