• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Gham-Nasibon Ko Kisi Ne to Pukara Hoga

Gham-Nasibon Ko Kisi Ne to Pukara Hoga

gham-nasibon ko kisi ne to pukara hoga

is bhari bazm men koi to hamara hoga

aaj kis yaad se chamki tiri chashm-e-pur-nam

jaane ye kis ke muqaddar ka sitara hoga

jaane ab husn luTa.ega kahan daulat-e-dard

jaane ab kis ko gham-e-ishq ka yaara hoga

tire chhupne se chhupengi na hamari yaden

tu jahan hoga vahin zikr hamara hoga

yuun juda.i to gavara thi ye ma.alum na tha

tujh se yuun mil ke bichhaḌna bhi gavara hoga

chhoḌ kar aa.e the jab shahr-e-tamanna ham log

muddaton rah-guzaron ne pukara hoga

ek tufan men qarib aa ga.i apni manzil

ham samajhte the bahut duur kinara hoga

muskurata hai to ik aah nikal jaati hai

ye ‘tabassum’ bhi koi dard ka maara hoga

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hawa Na-Sazgar-E-Gulsitan Malum Hoti Hai

Hijr Mein Aankhen Aansu Ban Kar Bah Jati Hain Socha Nain

Kasa-E-Fikr Mein Rakhta Hun Main Daulat Apni

poet

Jab Se Pesh-E-Nazar Us Yar Ki Peshani Hai

Naz Bhala Kis Baat Ka Tujhko Pas-E-Hunar Jab Kuchh Bhi Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet