Jo Baat Hai Teri so Nirali

jo baat hai terī so nirālī

ushshāq-kushī na.ī nikālī

tīr-e-mizhgān bhī hai us par

abrū kī teġh bhī sambhālī

samjhe hai zāhiran vo dil kī

detā hai jo dar-javāb gaalī

nāḳhun-zan haiñ badal ye añgusht

ye sirf nahīñ hinā kī laalī

haiñ roz-e-azal se ham giraftār

dekhī na kabhū farāġh-bālī

tū to hai hī pa maiñ bhī pyāre

huuñ be-parvā.ī lā-ubālī

kis tarah dikhā.ūñ aah tujh ko

maiñ apnī ye ḳharāb-hālī

ham haiñ bande danī o asfal

aur aap kā hai mizāj aalī

ā.īna-e-dil meñ mahv ho kar

sūrat hī kuchh aur ab nikālī

hai tujh se hī āshiqoñ kī ḳhūbī

yā hazrat-e-‘dard’ mere vaalī

dīvān-e-‘asar’ tamām dekhā

hai us meñ har ek sher aalī

Leave a Comment