chhup-chhup ke phir nigah-e-karam kar raha hai kaun
ankhon men ashk bad-e-sitam bhar raha hai kaun
marna rah-e-vafa men hai ḳhud mustaqil hayat
marne ki aarzu thi magar mar raha hai kaun
manzil pe aa ke ḳhud mujhe hona paḌa tabah
mahv-e-nazar farebi-e-rahbar raha hai kaun
achchha hua jo shahr-e-tamanna ujaḌ gaya
ḳhud is dayar-e-shauq men aa kar raha hai kaun
‘jarrar’ har qadam pe mile hain suḳhan-farosh
is daur-e-ḳhud-gharaz men suḳhnavar raha hai kaun
Leave a Reply