hairan huun ki aaj ye kya hadisa hua
hai aag sard dil bhi hai mera bujha hua
manzil pe pahle meri rasa.i hui to phir
har naqsh-e-pa se aage mira naqsh-e-pa hua
rekha.en haath ki to siva jagti rahen
ai kaash mera baḳht rahe jagta hua
thi us ki band muTThi men chiTThi dabi hui
jo shaḳhs tha train ke niche kaTa hua
‘nayyar’ kahani yaad hai pariyon ke desh ki
main us tilism se na abhi tak riha hua
Leave a Reply