tu ne jo harakat dil-e-nadan ki
ham ne us par zindagi qurban ki
dil pe kahta hai tamanna chhoḌ de
aqilana baat hai nadan ki
kaun sa gham hai jo dil men ḳhush nahin
ki tavazo.a us ne har mehman ki
ḳhud-ba-ḳhud abad ho ja.ega ban
aap ne basti agar viran ki
koi sahil jazb kar sakta nahin
zindagi ik lahr hai tufan ki
muskura kar baat ki sad shukriya
zindagi dushvar thi asan ki
Leave a Reply