tishnagi dard thakan soz-e-jigar rakhta hai
ik musafir ka.i saughat-e-safar rakhta hai
ye ajab daur-e-taraqqi hai ki insan har pal
ḳhud se ghafil hai magar sab kei ḳhabar rakhta hai
vo jo na-vaqif adab-e-vafa hai vo bhi
jazb-e-ishq tah-e-qalb-o-jigar rakhta hai
kaam leta hai jo halat ki nakami se
apne daman men vahi fat.h-o-zafar rakhta hai
mere malik mujhe darkar nahin tul-e-hayat
umr de us ko jo jiine ka hunar rakhta hai
jaane kya kah diya us ne dam-e-ruḳhsat mujh se
us ka har lafz qayamat ka asar rakhta hai
tere ahbab se achchha tira dushman ‘meraj’
tere baare men jo pal pal ki ḳhabar rakhta hai
Leave a Reply