• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jhuka Sake Na Mujhe Hadse Mohabbat Ke

Jhuka Sake Na Mujhe Hadse Mohabbat Ke

poet

jhuka sake na mujhe hadse mohabbat ke

vahi huun main to vahi silsile mohabbat ke

ye aur baat ki tum hi ne imtihan na liya

sabaq to yaad the saare mujhe mohabbat ke

talash kar unhen ahram-e-misr ki surat

hain dasht-e-dil men ka.i maqbare mohabbat ke

bata.un main tujhe anjam-e-arzu kaise

bana raha huun abhi za.iche mohabbat ke

hava ye kaisi chali hai sar-e-dayar-e-vafa

bujhe bujhe hain dilon men diye mohabbat ke

na jaane kaise marahil hain us jagah darpesh

ruke hue hain jahan qafile mohabbat ke

rah-e-vafa men qadam dekh bhaal kar rakhna

kuchh itne sahl nahin raste mohabbat ke

kashakash-e-ghame-duniya se kis ko fursat hai

karun main kis se yahan mashvare mohabbat ke

zara sa bhi mujhe ḳhauf-e-ḳhizan nahin ‘shahid’

mahak rahe hain abhi gul-kade mohabbat ke

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ab Band Jo Is Abr-E-Guhar-Bar Ko Lag Jae

ahmad-ali-barqi-azmi

Main Soz-e-darun Apna dikha Bhi Nahin Sakta

Ishq Se Ijtinab Kar Lena

Junun Ke Josh Mein Insan Ruswa Ho Hi Jata Hai

Koi Bhi KHush Ho Main Apni KHushi Samajhta Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet