us pari-ru ne na mujh se hai nibahi kya karun
sar kidhar patkun kidhar jaun ilahi kya karun
vasl ka din hai vale ankhon ke mere samne
hai khadi shab-ha-e-hijran ki syahi kya karun
takhta takhta ho gaya tufan men aa kar jahan
tum se ai yaar bayan apni tabahi kya karun
hai to vo dushman pe mahzar dekh kar khuun ka mire
sochta hai is pe men apni gavahi kya karun
tukde tukde dil hua jaata hai pahlu men ‘havas’
zabh karti hai butan ki kam-nigahi kya karun
Leave a Reply