• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Gham Nahin Hai Chahe Jitni Tirgi Qaem Rahe

Gham Nahin Hai Chahe Jitni Tirgi Qaem Rahe

gham nahin hai chahe jitni tirgi qaa.em rahe

mujh pe bas teri nazar ki chandni qaa.em rahe

is liye oḌhe hue huun main ḳhizaon ki rida

mere gulshan ki faza men tazgi qaa.em rahe

ham-nashin itna bata de kya karun tere baghair

kis tarah sanson se aari zindagi qaa.em rahe

rang-e-ulfat ki baqa ke vaste mere ḳhuda

ashiqi qaa.em rahe aur dilbari qaa.em rahe

khare paani ka samundar yuun hua mujh ko ata

umr bhar honTon pe mere tishnagi qaa.em rahe

jab harif-e-jan hi dil ki dhaḌkanon men aa base

ghair mumkin hai kisi se dosti qaa.em rahe

bo.e ‘mina’ raat ke kheton men yuun suraj ke biij

apni koshish hai jahan men raushni qaa.em rahe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

abdussalam-asim

Shikwa-Ha-e-Gham-e-Jahan Se Bachen

poet

Bahaar Aai Hai Sote Ko Tuk Jaga dena

ahmed-nisar

Gham Ka Pahad Mom Ke Jaise Pighal Gaya

faiz-ahmad-faiz

Aaj Yun Mauj-dar-Mauj Gham Tham Gaya Is Tarah Gham-Zadon Ko Qarar Aa Gaya

Husn Par Bojh Hue Uske Hi Wade Ab To

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet