mitti men mila de ki juda ho nahin sakta
ab is se ziyada main tira ho nahin sakta
dahliz pe rakh di hain kisi shakhs ne ankhen
raushan kabhi itna to diya ho nahin sakta
bas tu miri avaz se avaz mila de
phir dekh ki is shahr men kya ho nahin sakta
ai maut mujhe tu ne musibat se nikala
sayyad samajhta tha riha ho nahin sakta
is khak-e-badan ko kabhi pahuncha de vahan bhi
kya itna karam bad-e-saba ho nahin sakta
peshani ko sajde bhi ata kar mire maula
ankhon se to ye qarz ada ho nahin sakta
darbar men jaana mira dushvar bahut hai
jo shakhs qalandar ho gada ho nahin sakta
Leave a Reply