ishq ki raah men mar jaa.e zaruri to nahin
aadmi had se guzar jaa.e zaruri to nahin
hain dua go jo abhi haath pasare apne
un ki taqdir sanvar jaa.e zaruri to nahin
main ne maana ki kaThin rahguzar hai lekin
ra.egan mera safar jaa.e zaruri to nahin
nek a.amal ki batla.e fazilat jo sada
ḳhair ka kaar vo kar jaa.e zaruri to nahin
chup ke bistar pe jo leTa hai ḳhamoshi oḌhe
ek avaz se Dar jaa.e zaruri to nahin
gul ki ḳhatir nahin phaila mira daman lekin
ye faqat ḳhaar se bhar jaa.e zaruri to nahin
jurm ka mujh pe jo ilzam laga hai ‘anjum’
vo kisi aur ke sar jaa.e zaruri to nahin
Leave a Reply