ik be-nishan harf-e-sada ki taraf na dekh
vo duur ja chuka hai hava ki taraf na dekh
abad kar le dida-o-dil men sanam-kade
kahta hai vo ki ek ḳhuda ki taraf na dekh
apni hi afiyat ki tag-o-dau men mahv rah
is sar-zamin-e-ah-o-buka ki taraf na dekh
apne ufuq ki tang faza se hi kaam rakh
maidan-e-hashr dasht-e-bala ki taraf na dekh
kar le na apne shahr-e-tilismat ka asiir
us ki nigah-e-hosh-ruba ki taraf na dekh
rakh ḳhak-e-dil pe apne qadam ehtiyat se
mauj-e-hava-e-samt-numa ki taraf na dekh
Leave a Reply