vo ḳhud gaya hai us ka asar to nahin gaya
zad-e-safar gaya hai safar to nahin gaya
mausam hi sirf badla hai us ke mizaj ka
shaḳh-e-samar kaTi hai samar to nahin gaya
duniya samajh rahi hai use bevafa magar
raste se uTh gaya hai vo ghar to nahin gaya
rah rah ke puchhti hai kaf-e-pa se chandni
is raah se vo rashk-e-qamar to nahin gaya
dasht-e-junun pe girya-e-baran tha raat bhar
divana tera jaan se guzar to nahin gaya
kis baat se ḳhajil huun sar-e-koh-e-tur main
tab-e-nazar men zauq-e-nazar to nahin gaya
bikhre paḌe hain farsh pe va.ade na.e na.e
a.ina-gar se aa.ina Dar to nahin gaya
tariq-‘na.im’ rahne lage ho malul se
koi tumhara ḳhvab bikhar to nahin gaya
Leave a Reply