• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / ruKH Badalte Hichkichate the Ki Dar Aisa Bhi Tha

ruKH Badalte Hichkichate the Ki Dar Aisa Bhi Tha

ruḳh badalte hichkichate the ki Dar aisa bhi tha

ham hava ke saath chalte the magar aisa bhi tha

lauT aati thiin ka.i sabiq paton ki chiTThiyan

ghar badal dete the bashinde magar aisa bhi tha

vo kisi ka bhi na tha lekin tha sab ka mo’tabar

koi kya jaane ki us men ik hunar aisa bhi tha

paanv a.inda ki janib sar guzishta ki taraf

yuun bhi chalte the musafir ik safar aisa bhi tha

taulta tha ik ko ik ashya-e-masraf ki tarah

dosti thi aur andaz-e-nazar aisa bhi tha

ḳhud se ghafil ho ke jo pal bhar na ḳhud ko sochta

is bhari basti men koi be-ḳhabar aisa bhi tha

har na.i rut men badal jaati thi taḳhti naam ki

jis ko ham apna samajhte koi ghar aisa bhi tha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dur Rah Bhi Na Sakun Pas Bula Bhi Na Sakun

poet

Raat Kya Kya Mujhe Malal Na Tha

poet

Tifli Piri O Naujawani Hech

Kis Ko Batate Kis Se Chhupate Suragh-E-Dil

Sham Rakhti Hai Bahut Dard Se Betab Mujhe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet