• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kya Ahd-E-Nau Mein Apni Pahchan Dekhta Hun

Kya Ahd-E-Nau Mein Apni Pahchan Dekhta Hun

kya ahd-e-nau men apni pahchan dekhta huun

akasr ba-shakl-e-insan haivan dekhta huun

ḳhvabon ko, justuju ko, rakhna abhi safar men

kuchh duur chal ke rahen asan dekhta huun

raftar-e-vaqt tu ne paa.i hai kaisi ujlat

jazbon men asr-e-nau ke haijan dekhta huun

aa.i hai ḳhak-e-hasti uTh kar kahan se apni

ḳhvabon men kuchh jazire anjan dekhta huun

amn-o-aman ki baten shayad hain sirf baten

arz-e-ḳhuda pe har din ghamsan dekhta huun

jab justuju na manzil aur ḳhvab hain na arman

phir kis liye safar ka saman dekhta huun

tabdil ho ga.i hain aqdar-e-kohna yuun bhi

ye ka.enat saari hairan dekhta huun

meri nigah aḳhir hassas kyuun hai utni

main roz-o-shab badalte insan dekhta huun

deti hai jab bhi fursat kuchh gardish-e-zamana

rishton men apni baaqi pahchan dekhta huun

guzre the jis men lamha bachpan ke qahqahon men

ḳhvabon men vo haveli viran dekhta huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Koi Wajud Hai Duniya Mein Koi Parchhain

ain-tabish

Qissa-e-Khwab Hun Hasil Nahin Koi Mera

Raqs Yak Nur Kabhi Sail-E-Bala Dekhta Hun

Jo Lazzat-E-Ashna-E-Dard-E-Hijran Hote Jate Hain

Maulana Rumi

Ain Aatish-e-Ishq Mi-Pazanad Ma Ra

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet