zaban ḳhamosh rahe tark-e-mudda.a na kare
ye iltija bhi nahin kam ki iltija na kare
main nang-e-ishq samajhta huun zindagi ke liye
vo dil jo gardish-e-dauran ka samna na kare
dila rahi hai yaqin-e-vafa mujhe vo nazar
ye baat aur hai har ek se vafa na kare
use bahar ki ranginiyan nasib na hon
chaman men rah ke chaman ka jo haq ada na kare
kabhi kabhi ye bina-e-karam bhi hoti hai
jafa-e-yar se andaza-e-jafa na kare
musibaton se nikharta hai ishq ai ‘sha.ir’
dua ko haath bhi uTh jaa.en to dua na kare
Leave a Reply