ye hukm hai ki andhere ko raushni samjho
mile nasheb to koh-o-daman ki baat karo
nahin hai mai na sahi chashm-e-iltifat to hai
nai hai bazm tariq-e-kuhan ki baat karo
fareb-khurda-e-manzil hain ham ko kya malum
ba-tarz-e-rahbari rahzan ki baat karo
khizan ne aa ke kaha mere gham se kya hasil
jahan bahar luti us chaman ki baat karo
qadam qadam pe farozan hain ansuon ke charagh
unhen bujhao to subh-e-vatan ki baat karo
bahar aae to chup chaap hi guzar jaae
na rang-o-bu ki na sarv-o-saman ki baat karo
Leave a Reply