zaḳhm to zaḳhm hai kuchh der men bhar ja.ega
lafz nashtar hai rag-e-jan men utar ja.ega
teri rahmat ka ye dariya vo musafir hai ki jo
meri basti se dabe paanv guzar ja.ega
rang kachcha hai tire shahr-e-vafa ka janan
gham ki ik lahr chalegi to utar ja.ega
aa teri maang men is shaam ki surḳhi bhar duun
us ki taz.in se ye husn nikhar ja.ega
is qadar maut ke saman ka hai ambar laga
kal ka insan jo dekhega to Dar ja.ega
zulm ki dhuup men nafrat to panap sakti hai
pyaar to phuul hai is dhuup men mar ja.ega
pahle barbad to kar le ye zamin ka chehra
phir ye insan kisi aur nagar ja.ega
Leave a Reply