hai ba.is-e-sukun suḳhan-var tumhara naam
leta hai is liye vo barabar tumhara naam
mujh ko yaqin hai tum bhi bahut muztarib rahe
jab bhi liya hai main ne taḌap kar tumhara naam
uThta hai jab tabahi-e-dil ka kabhi saval
aa aa ke Thahar jaata hai lab par tumhara naam
mere tamam sheron men ik jaan si paḌ ga.i
likkhi ghazal jo zehn men rakh kar tumhara naam
kaise miTa.e mauj-e-havadis tumhi kaho
hai naqsh zehn-o-dil pe gul-e-tar tumhara naam
tahzib ke ḳhilaf hai iz.har-e-ashiqi
aata nahin hai is liye lab par tumhara naam
ye sirf valihana mohabbat ki baat hai
meri suḳhan-vari ka hai mehvar tumhara naam
had-darja jan-gudaz hain yadon ke silsile
kaise ‘sahar’ bhula.ega dilbar tumhara naam
Leave a Reply