mazaq sahna nahin hai hansi nahin karni
udaas rahne men koi kami nahin karni
ye zindagi jo pukare to shak sa hota hai
kahin abhi to mujhe ḳhud-kushi nahin karni
gunah-e-ishq riha hote hi karenge phir
gavah banna nahin muḳhbiri nahin karni
baḌe hi ghusse men ye kah ke us ne vasl kiya
mujhe to tum se koi baat hi nahin karni
Leave a Reply