gham nahin mujh ko jo vaqt-e-imtihan maara gaya
ḳhush huun tere haath se ai jan-e-jan maara gaya
tegh-e-abru se dil-e-ashiq ko milti kya panah
jo chaḌha munh par ajal ke be-guman maara gaya
manzil-e-ma.ashuq tak pahuncha salamat kab koi
rahzanon se karvan ka karvan maara gaya
dosti ki tum ne dushman se ajab tum dost ho
main tumhari dosti men mehrban maara gaya
zahr se kuchh kam na thi davat miri ghairon ke saath
kya ghazab hai ghar bala kar mehman maara gaya
dasht-e-ghurbat ranj-e-tanha.i hujum-e-dard-o-yas
in balaon men tira ashiq kahan maara gaya
kya halak-e-ishq tere gesuon ka tha ‘asar’
sumbulistan ho gaya hai do-jahan maara gaya
Leave a Reply