ik nafas nabud se bahar zara rahta huun main
gum-shuda chizon ke andar lapata rahta huun main
jitni baten yaad aati hain vo likh leta huun sab
aur phir ek ek kar ke bhulta rahta huun main
garm-joshi ne mujhe jhulsa diya tha ek din
andarun ke sard-ḳhane men paḌa rahta huun main
ḳharch kar deta huun sab maujud apne haath se
aur na-maujud ki dhan men laga rahta huun main
jitni gahra.i hai ‘adil’ utni hi tanha.i hai
bas ki sat.h-e-zindagi par tairta rahta huun main
Leave a Reply