• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Zamane Mein Fasana Ban Gai Diwangi Meri

Zamane Mein Fasana Ban Gai Diwangi Meri

poet

zamane men fasana ban ga.i divangi meri

tire parda ne ki parda-nashin parda-dari meri

tu hi ai be-ḳhudi-e-shauq kar kuchh rahbari meri

usi markaz pe lekin aaj tak hai be-ḳhudi meri

har ik parda uTha degi kisi din be-ḳhudi meri

ki jan-e-manzil-e-maqsud hai gum-gashtagi meri

vahi be-tabiyan jin ko bala-e-jan samajhta tha

vahi betabi-e-paiham bani hai zindagi meri

na sahra hai na gulshan hai na rasta hai na manzil hai

ḳhuda jaane kahan le ja rahi hai be-ḳhudi meri

tire jalve har ik shai men nazar aane lage lekin

yahin mahdud ho kar rah na jaa.e be-ḳhudi meri

hudud-e-be-niyazi tak to mujh ko khinch laa.i hai

na jaane ab kahan le ja.egi varaftagi meri

tiri surat nigahon se kabhi ojhal nahin hoti

karishme hain tire jalvon ke ya surat-gari meri

nigahen multafit lab par tabassum kaif ankhon men

Thahar jaa.e isi markaz pe yarab zindagi meri

falak pa-bos hota hai mala.ek sajda karte hain

kahan le aa.i mujh ko aaj shan-e-bandagi meri

na.im-e-ḳhuld to badla hai jaan ka mil gaya lekin

baha-e-dard-e-dil aur qimat-e-divangi meri

hijabat-e-mohabbat ḳhud-baḳhud tai hote jaate hain

nigah-e-kufr-saman kar rahi hai rahbari meri

‘munir’ ik din zamane ko zamana main bana dunga

kahan tak ra.egan ja.egi aḳhir be-ḳhudi meri

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Na Purkashish Hai Na Aashna Hai

abu-mohammad-sahar

Har Khauf Har Khatar Se Guzarna Bhi Sikhiye

ahmad-faraz

Ab Shauq Se Ki Jaan Se Guzar Jaana Chahiye

Tu Hai Waisa Hi Hu-Ba-Hu Yara

Waqif KHud Apni Chashm-E-Gurezan Se Kaun Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet