• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Awwal Sin dil Mera Jo Giraftar Tha So Hai

Awwal Sin dil Mera Jo Giraftar Tha So Hai

siraj-aurangabadi

avval siin dil mira jo giraftar tha so hai

mere gale men ishq ka zunnar tha so hai

ai shah-e-husn mujh kuun tumhari janab men

muddat siin bandagi ka jo iqrar tha so hai

maalum yuun hua ki nasibon men nahin shifa

shamshir-e-gham ka vaar jigar paar tha so hai

jiyun ghuncha sair-e-bagh siin hota huun tang-dil

tujh bin miri nigah men gul khaar tha so hai

sozan misal aankh men silti hai har palak

teri birah ka khaar dil-azar tha so hai

ab lag gham-e-firaq judai ki raat men

yaaro rafiq-o-munis-o-gham-khvar tha so hai

mat buujh soz-e-ishq siin farigh siraj kuun

parvana-var jaan siin balhar tha so hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Nimcha Yar Ne Jis Waqt Baghal Mein Mara

poet

Partaw paDa Jo Aariz-E-Gulgun-E-Yar Ka

abu-bakr-abbad

Mujhe Sharminda Rakhte Hain

ghaTiya Lahje Mein Bazari Baat Karen

Tum Apne Aap Par Ehsan Kyun Nahin Karte

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet