ho sake to mujhe ik shaam inayat karna
barpa is dil pe miri jaan qayamat karna
phir tiri yaad men raqsan hai miri vahshat-e-dil
kitna mushkil hai tiri yaad ko ruḳhsat karna
aisa TuuTa hai taghaful pe kisi ke ye dil
ham se ro ro ke kahe ab na mohabbat karna
pyaar ke naam pe be-mol hi bik jaate hain
ham ko aata nahin jazbon ki tijarat karna
hai navaza tujhe raziq ne to phir ai insan
jitni mumkin ho tu duniya men saḳhavat karna
jaan le kahti huun lalkar ke main tujh se adu
main ne sikha hai sada sach ki himayat karna
ham ne thama hai jo insaf ka daman yaaro
ham se hargiz nahin ummid-e-ri.ayat karna
Leave a Reply