din guzarte hain
din kaise guzarte hain
yuun to sab hi din guzar jaate hain
jo zinda hain
vo to guzarte hain
zalil hote hue
kabhi bhuuk ke hathon
kabhi charon taraf phaili un vabaon
ki sarparasti men
jo khuda ban jaati hain
saffak be-rahmi ke libas men
gharon ki munderon par chalti hain
chhalavon ki tarah
chabati hain maaon ke kaleje
chirti hain nanhe bachchon ka dil
apni kisi ziyafat men pesh karne ke liye
apni hi jaisi balaon ko
nahin rok sakta koi unhen
vo bhi jo un ka khuda hai
vo bulate hain apne khuda ko bhi
is ziyafat men
shayad vo bhi insani gosht ka
shauqin hai
aur uksata hai unhen
jab jab use ishtiha hoti hai
un ka khuda
sirf un ka khuda hai
un ka nahin
jin ke kaleje chabae ja rahe hain
Leave a Reply