• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sun Rakh O Khak Mein Aashiq Ko Milane Wale

Sun Rakh O Khak Mein Aashiq Ko Milane Wale

poet

sun rakh o khaak men ashiq ko milane vaale

arsh-e-aazam ke ye naale hain bulane vaale

ye sada sunte hain us kuche ke jaane vaale

jaan kar jaan na kho kaun hai aane vaale

chain tujh ko bhi na ho mujh ko satane vaale

tu bhi thanda na rahe ji ke jalane vaale

kab hain is dil se butan haath uthane vaale

ye vo kafir hain ki masjid ke hain dhane vaale

jang hi gar tujhe manzur hai phir aankh lada

ye bhi ik jang hai o aankh ladane vaale

ki to ayyar si sazish hai vale ghuncha-dahan

chutkiyon men hain ye joban ke udane vaale

un ke hansne pe na ja un ke hansane se na hans

tere hansne pe jo hanste hain hansane vaale

bin-bulae tire aa kar tujhe bahkate hain

sakht na-khvanda hain ye tujh ko padhane vaale

ashk-e-khunin ki huun main sail men duuba rahta

ye mera rang hai o paan chabane vaale

yuun gajar subh ka jaldi se baje vasl ki raat

are be-rahm are dil ke satane vaale

guzri jo mujh pe so guzri hai na guzri tujh par

ghadi ghadiyal ki ghadiyal bajane vaale

kyuun na un nalon ko main pa-e-ba-zanjir rakhkhun

ai junun kaun hain ye ghul ke machane vaale

jab kaha main ne ki sun haal kaha taan se ye

tum salamat raho ahval sunane vaale

paanv ko haath lagaya tu laga kahne sarak

tujh ko qurban karun haath lagane vaale

muttala matla-e-‘ehsan’ se tu ho rashk-e-qamar

tujh pe ashiq hue paigham ke laane vaale

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Teri Nigah Ka Andaz Kya Nazar Aaya

abdul-mannan-tarzi

Subh Safar Aur Sham Safar

wajid-ali-shah-akhtar

Sun Rakkho Use dil Ka Lagana Nahin Achchha

ahmad-ali-barqi-azmi

Mushtahar Nam Karo Tum Mera Akhbaron Mein

Is Tarah Mohabbat Mein Dil Pe Hukmarani Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet