
Mirza Ghalib
bazm-e-shahanshah men ashar ka daftar khula
rakhiyo ya rab ye dar-e-ganjina-e-gauhar khula
shab hui phir anjuman-e-rakhshanda ka manzar khula
is takalluf se ki goya but-kade ka dar khula
garche huun divana par kyuun dost ka khaun fareb
astin men dashna pinhan haath men nashtar khula
go na samjhun us ki baten go na paun us ka bhed
par ye kya kam hai ki mujh se vo pari-paikar khula
hai khayal-e-husn men husn-e-amal ka sa khayal
khuld ka ik dar hai meri gor ke andar khula
munh na khulne par hai vo aalam ki dekha hi nahin
zulf se badh kar naqab us shokh ke munh par khula
dar pe rahne ko kaha aur keh ke kaisa phir gaya
jitne arse men mira lipta hua bistar khula
kyuun andheri hai shab-e-gham hai balaon ka nuzul
aaj udhar hi ko rahega dida-e-akhtar khula
kya rahun ghurbat men khush jab ho havadis ka ye haal
naama laata hai vatan se nama-bar aksar khula
us ki ummat men huun main mere rahen kyuun kaam band
vaste jis shah ke ‘ghalib’ gumbad-e-be-dar khula

Leave a Reply