zaban band rahi dil ka mudda.a na kaha
magar nigah ne us anjuman men kya na kaha
muhit-e-shauq men ham dubte ubharte rahe
ḳhuda gavah kabhi jaur-e-na-ḳhuda na kaha
sanam-kada hai ki ik mahfil-e-ḳhuda-vandan
bahut ḳhafa hua vo but jise ḳhuda na kaha
hazar ḳhizr-numa log raston men mile
hamare dil ne kisi ko bhi rahnuma na kaha
ye kaenat to hai ḳhair mujh se begana
agar nigah ne teri bhi ashna na kaha
Leave a Reply