Tha Magar Itna Ziyaada to Junun-KHez Na Tha

thā magar itnā ziyāda to junūñ-ḳhez na thā

pahle dekhā thā to lab hī thā ye labrez na thā

thiiñ magar itnī bhī badmast na thiiñ ye āñkheñ

thā magar aañkh meñ surma tirā yuuñ tez na thā

tere phūloñ se ye ḳhushbū to nahīñ aatī thī

mausam-e-lams se tū qarya-e-zarḳhez na thā

yaad to hai tirī kam-umr nigāhoñ kā fusūñ

lekin us chashm-e-javāñ sā sehr-añgez na thā

TuuTī paḌtī na thiiñ āñkheñ mirī tujh par aise

gul-ba-dāmāñ to tū pahle hī thā gul-e-rez na thā

jaisā mavvāj thā us husn kā dariyā ‘kāshif’

dil kā tūfān koī vaisā balā-ḳhez na thā

Leave a Comment