
Shakeela Bano
roz shaam hoti hai roz ham sanvarte hain
phuul sej ke yunhi sukhte bikharte hain
dil ko todne vaale tu kahin na rusva ho
khair tere daman ki chashm-e-tar se darte hain
subh tuut jaata hai aina tasavvur ka
raat bhar sitaron se apni maang bharte hain
zor aur kya chalta fasl-e-gul men kya karte
bas yahi ki daman ko taar taar karte hain
ya kabhi ye halat thi zakhm-e-dil se darte the
aur ab ye aalam hai charagar se darte hain
yuun tire tasavvur men ashk-bar hain ankhen
jaise shabnamistan men phuul raqs karte hain
khuun hamen rulati hai raah ki thakan ‘bano’
jab hamari nazron se karvan guzarte hain

Leave a Reply