kisi ki kisi ko mohabbat nahin hai
abhi is ki duniya ko lazzat nahin hai
agar tum ko milne ki fursat nahin hai
mujhe bhi ziyada zarurat nahin hai
bahut khushnuma hai gulistan-e-alam
magar sair karne ki fursat nahin hai
bahut se gharon men khazane hain madfun
nahin hai to ganj-e-qanaat nahin hai
kahan tak na behosh-o-be-khud karegi
mai-e-vasl hai koi sharbat nahin hai
khayalat men apne huun gharq vaaiz
mujhe kahne sunne ki fursat nahin hai
dikhate nahin sharm se ru-e-raushan
koi kamyabi ki surat nahin hai
tazalzul men kis vaste hai zamana
shab-e-hijr hai ye qayamat nahin hai
kahan ai pari tu kahan hur-e-jannat
tiri us ki aapas men nisbat nahin hai
miri qumriyon ke siva kaun insan
ye shamshad hai is ki qamat nahin hai
vo utthe to lakhon hi fitne uthenge
vo qamat bhi kam-az-qayamat nahin hai
na kyuun dil lage yaan vo hai aur khalvat
ye huura nahin hai ye jannat nahin hai
jafaen na kiije na kiije na kiije
tahammul ki ab mujh ko taqat nahin hai
talatum men masruf hai qatra qatra
koi shai yahan be-haqiqat nahin hai
jahan tak bane tum se be-dad kar lo
agar aane vaali qayamat nahin hai
larazta hai kyuun dar se ai jism-e-laghar
ye dhadka hai dil ka qayamat nahin hai
hasinon ki chahat hasinon ki ulfat
musibat bhi hai aur musibat nahin hai
tumhen ashiq aur mujh ko maashuq lakhon
yahan adamiyyon ki qillat nahin hai
sambhal kar zara naz-o-aghmaz kiije
hasinon ki duniya men qillat nahin hai
zamane men hone ko sab kuchh hai ‘parvin’
hamen kya umid-e-shafaat nahin hai
Leave a Reply