apni zad par the khaḌe ham ko to bachna kya tha
jo hua Thiik hua aur to hona kya tha
marte marte hi mire dard ki lazzat ke haris
be-mudava jo na marte to mudava kya tha
uf vo atraf men phaili hui ashiya ka hujum
haa.e is shor men ik dil ka dhḌakna kya tha
be-dili haa.e nazara ki mujhe yaad nahin
sarsari dekha tha kya aur na dekha kya tha
raat us bazm men tasvir ke manind the ham
ham se puchhe to koi sham.a ka jalna kya tha
Leave a Reply