ishq jo me.araj ka ik ziina hai
ye hamara maz.hab-e-parina hai
ab to ḳhud-bini ibadat ho ga.i
rat-din pesh-e-nazar a.ina hai
vaa.iz ab bhi jurm hai kya mai-kashi
chandni hai aur shab-e-adina hai
jab se zulfon ka paḌa hai us men aks
dil mira TuuTa hua a.ina hai
sar-ba-mohr-e-dagh karte hain ‘aziz’
dil hamara ishq ka ganjina hai
Leave a Reply