mira pyara hai na-farman hamesha aur pyaron men
nahin dekha kasu ne lala-ru aisa hazaron men
apas ushshaq kuun pahchante hain khuub khush-chashman
ajab mardum-shanasi hai narain ke isharon men
tiri zulfan ke pech-o-tab ki tarif kuun sun kar
gaya patal ko basuk khajalat khinch maron men
base hain shauq suun ja kar gulon men raat kuun shayad
ki aati hai gul-andaman ke baasi baas haron men
dare kyuun sher-dil-ashiq raqiban ke bidakne suun
koi bavar nahin karta shujaat in chakaron men
darazi jab diya yaldan ko teri zulf lambi ne
burai tab lagi karne ko har shab baith taron men
apas kuun khaak kar gulzar hona hai agar tujh kuun
nahin aaya nazar men sabza-khar uupar baharon men
bila gardan hue gar dekh kar aahu achambha naiin
ki hoe hai mahv nargis teri ankhiyan ke nazaron men
pari-ruyan-e-gulshan suun le aai sim-o-zar nargis
nazar-bazan baja ginte hain us kuun maldaron men
na kah simab ke manind mere dil kuun ai chanchal
tira betab hai mumtaz saare be-qararon men
nikalna mah-ru ke daam se dushvar hai yaran
raha hai ‘mubtala’ ka dil ulajh zulfan ke taron men
Leave a Reply