harf apne hi ma.ani ki tarah hota hai
pyaas ka za.iqa paani ki tarah hota hai
main bhi rukta huun magar reg-e-ravan ki surat
mera Thahrao ravani ki tarah hota hai
tere jaate hi main shiknon se na bhar ja.un kahin
kyuun juda mujh se javani ki tarah hota hai
jism thakta nahin chalne se ki vahshat ka safar
ḳhvab men naql-e-makani ki tarah hota hai
chand Dhalta hai to us ka bhi mujhe dukh ‘faisal’
kisi gum-gashta nishani ki tarah hota hai
Leave a Reply